Benefits of drinking warm water in hindi
Aaj main aapko gungune pani (warm water)ke baare mein bataungi Jo key Hamare Sharir ke liye bahut hi laabhdayak hai iska koi nuksaan nahi hai balki is ka fayda hi hoga Toh me aaj aap ko Batanei ja rahi hoon Gungune pani (warm water)ke Labh Yeh Hamare blood circulation ko accha karta hai aur Gungune Pani (warm water) Peene se Shareer mein jo extra fat Jama hota hai usko bhi Bahar nikalta Hai fat reduce karta hai Jab Bhi Hum Gungune Pani (warm water) kob Pite hai toh Hamare Sharer mein bahut jyada Pasina (sweat)Aane lagta hai Jis Se Kya Hota Hai Ki Hamare Shareer Se jitni bhi vishele padarth bahar aa jatein hai Matlab Ki Bimari Apna Rasta nikal deti hai aur Garam Pani Peene Se Jyada fayda kab Hota Hai Jab aapko Koi Bimari hai aur tab aap Gungune pani (warm water)ka Sevan Karte Hain toh bimari apne aap peshab ke Raste nikal jate hai Yahi Gungune pani (warm water) ke kuch labhdayak cheeze hai tu Gungune pani (warm water)ke Sevan karne se aapko Koi Bimari se chutkara mil sakta hai jaise ki bewajah fat ka Jama hona aur kabz se ki problem ko Dur karna toh aaj main aapko kuch points ke baare mein bataungi ki aap Jab Gungune Pani (warm water)ko Payenge to un bimariyon se chhutkara Kaise Pa sakte hai.
1. fat reduce
Jaisa ki maine aapko bataya ki aap JabHOW TO REMOVE MAKEUP IN HINDI Bhi gungune Pani (warm water)ko Peete hai toh Aapka fat zaroor kam hoga gungune Pani (warm water) ko sahi se Peene Ka upay jo aap ki fat ko kam karne me madad Karega uske liye aap ko sabse Pehle Subah Jab Bhi aap uthte Hain toh sabse Pehle uthkar Aap gungune Pani (warm water)ko Piya agar aap ko usme Nimbu (lemon)aur Shahad (honey)ka prayog karna hai to aap kar sakte hain nahi toh aap Bina Nimbu aur Shahad Ke Bhi gungune Pani (warm water) ko Pee sakte hain jaise ki aap ko ek mahine mein hai aapke Sharir mein aapko khud badlav mehsoos hoga Aur Raat Ko sote Samay be 1 glass gungune pani (warm water) ka Sevan Jarur Kare aur jab bhi aap khana khate hain toh uske baad aapko Agar Pyas Lagti Hai us samay gungune Pani (warm water)kohi piye waise toh khane ke aadhe ghante baad Hame Pani pina chahiye agar aap ko Pani Pina zaroori lagta hai aap Gungune pani (warm water) ka Sevan Kare us samay wahi sahi rahega agar aap wakai mein apne fat ko khatm karna chahte hai toh.2.kabz ke liye labhdayak Gungune paani
Agar aapko kabz ki shikayat hai to aapko Gungune pani (warm water) ka sevan karna chahiye agar aap Gungune pani (warm water) piyenge to aapko kabz ki shikayat nahi hogi Gungune pani (warm water)peene se jo mal aapke aanto me lagta hai to us mal ko aasani se nikale ka kaam garm paani acche se karta hai jab bhi aapko kabz ki pareshani hoti hai toh pet saaf k karne ke liye jyada Churan Ka istemal Na Kare is se Aanti Ko nuksan pahucha sakta hai jab bhi pet kiHAMARI LAAR (SALIVA) KE FAYEDE koi samasya ho toh Gungune paani (warm water)ka sewan karein.
3. Skin ko glow karne me laabhdayak
Aap kabhi bhi is baat ka dhyan zaroor rakhna ki jab aap 3 din tak lagatar Gungune paani (warm water) ka sevan karte ho toh aapko apne chehre par uska fayeda mehsoos zaroor ho aisa isliye hota hai kyonki jab bhi ham Gungune paani (warm water) ko peete hai to hamara rakt sanchar (blood) circulation) bahut teji se hota hai aur hamein pasina bhi bahut jyada aata hai jisse skin glow karti hai hum kaafi products ka istemal karte hai twacha ko glow karne ke liye lekin yeh sab Gungune paani (warm water)ke aage fail hai kyonki jo shareer ko andar se tazgi milegi wahi bahar dikhegi toh aaj hi se Gungune paane (warm water) ko zaroor piye.
4.Young banaye Gunguna paani
Hamari skin 30 saal ke baad jhuriyon ki taraf apna rasta le leti hai jiska ham khas khayal nhi rakhte hai hum khali bahar ki chizon ka istmal apne twacha par leepa poti karke karte hai iska koi fayeda nahi hoga jabtak aap ander se taro taaza nhi hai agar aap chahte hai ki aapke chehre par jhuriyan jaldi na ho toh Gungune paani (warm water) ko normal paani jagh piye aapko fark apne aap nazar aane lagega.
Clean water is also essential for food production. Humans require massive amounts of water to produce even 1 kg of food staples like bread, cheese and rice. Water forum
ReplyDelete